Sunday, June 5, 2022

Safar part -1



Woh vaadiyon ka sannata

woh nadi ka shor

hwa tez thi par halki halki dhoop thi sab aur..

kahin se ek awaaz aayi

jaise ruh ne pukara ho..

safar ki balcony me baithe 

Jindagi ne liya ek mod... 



door des se aake bhi woh apni si lagi

Dil atak sa gaya jab jab woh paas lagi..

Main dekhta raha woh sharmati rahi

Uski har nazar mujhe bulati rahi



har baar ki tarah coffee ne kaam banaya tha

usne jab kulhad apne labo ko lagaya tha..

Muskurahat dekhi uske chehre pe 

To neela aasmaan bhi sharmaya tha..


na naam pata na kaam pata

ab kahan girdhar ko ishq ki jaat pata

Ali bhai se pucha ab kya kare

Kuch to iska ilaaz bata.. 

Tuesday, May 4, 2010

Kyon.. ye jahaan nahi milta

Kyon .. Kyon ..

bhatakti rehti hai lahre jaane kiske liye...
kyon unhe ek muyassar kinara nahi milta...

ladkhada jate hain kadam in raho me...
kyon kisi ko munasib sahara nahi milta...

Tanha kat jata hai safar aadam ka duniya me...
kyon sabhi ko haseen yaarana nahi milta...

Gamgeen hi rehta hai aasman apna...
kyon kahin sukoon bhara nazaara nahi milta...

Woh kehte hai ki duniya me pyaar baant te chalo...
kyon girdhar ko apna koi pyaara nahi milta...

Talaash hai ek sahil ki is jeevan me...
kyon unki aankhon se ek ishara nahi milta...

Friday, April 23, 2010

In Dino...

In dino..

gungunate hain bhawanre hawao me..

mehaki mehaki si hai fiza in dino....

gul hi gul hai mere khwabo me..

jindagi bani hai gulistaan in dino....

Haseen pal aaye hai jindagi me kuch aise..

lagta hai har manzar aabad in dino....

yun to mihnat aur bhi hai jindagi me..

lagti mumkin har manzil in dino....

bhatakte the kabhi anjaan kucho me..

mulaaqaat hoti hai kisi haseen se in dino....

hiraas hui hai jindagi kai dafa..

par rehti hai labo pe tabssum in dino....

ho gaya jaise ujala taarik weerane me..

ab lagta girdhar ko koi apna habeeb in dino....

In dino.... In dino..